Kuch yaade h jinhe soch kur chehre per muskaan aa jati h aur zindagi ek safar si lagne lagti h
Wo subhe train se bhiwani jana aur bush dekh k khelte bacho ko wapis aa jana...zindagi ko game k barabar taulna aur senior ko dekh kur Nameste bhaiya bolna....
Wo Jalandhar ki sardiya ..morning ka alarm
Aankho mein sapne,dil mein josh aaj bhi yaad aate h..
Wo sonepat ki journey...subhe 4 baje uthke nahana...tadi paar cycle pe jana aur
khana khud banana
Wo banglore ki 9 mahine ki pregnancy sa safar....tom sir ka chil lana...morning gym k baad cheese-masala dosa khana,aur aa k so jana....wo multiya,aur shuttle collect karvana aur ashwini ka aa jana.....
Lath se match lagana aur Jacky ko rally pe rally karana,dophar ki 10 min ka sona aur Saturday ki swimming k baad MacD m hona
Nahi bhula hu wo Rack mein rakhi kidabe aur modnay se pakka ka vada...aur aaloo tikki mein ketchup thoda jyada..:-)
Yaad aate h kabhi kabhi ...anna-malay,basanti aur wo canteen...
Mile Puia,Mehul,Jairaj jaise roommate tin .
Ghuma hu Pune,Hyderabad aur Gujarat but bahut dhundali aur purani si ho gyi h baat...
Nahi h afsos ki raaste badal gaye h mugar gali mein khelte kisi bache ko dekh kur ye dil ek baar phir knock out khelna chahta h... aur zindagi ek safar si lagne lagti h.......
-pradeep sheoran (Ex-Badminton player)